Monday, June 18, 2018

What is Capacitor ?


 "Capacitor ek esa electronic component he jo kisi circuit me electric charge  (vidhut avesh) ko store krta he".

Electronics ka main component capacitor (संधारित्र ) hi he. Capacitor  do terminal ka passive component hota he. Esa koi bhi circuit nhi hoga jisme jisme capacitor use na hota ho, circuit chhota ho ya bda ho  capacitor ka use usme hota hi he.

Capacitor ka pryog electronics ke sath sath electric circuit me bhi kiya jata he prntu jyadatr use electronics circuit me hi kiya jata he.

koi bhi capacitor circuit me AC signal (Ya current) ko aage ki or pass krta he tatha DC current ko aage ki or jane se rokta  he arthat DC current ko block kr deta he.

Is parkar Capacitor AC signal ke liye Short circuit (Low resistance) ki trh kam krta he or DC current ke liye open circuit (High Resistance) ki tarh kam krta he.

Capacitor is an electronics component which stores electric charge in the circuit.

Capacitor ko 'C' se denote krte he, iski value ko (unit) 'Fared' me mapa jata he.

Capacitor ka symbol niche figure me diya gya he  
                                   

Symbol of fixed and variable capacitor


 Construction -  Capacitor me do metal ki plates hoti he or dono plates ke beech me dielectric (Pravedhutank) pdarth  ko rkha jata he.
Jab capacitor ke ek terminal ko battery ke possiteve terminal se tatha capacitor ke doosre terminal ko battery ke negative terminal se connect krte  he to capacitor ke ek plate me positive charge or dosri plate pr negative charge jma ho jate he. Iska matlb yh hota he ki capacitor me charge store ho jata he jo voltage ko hta lene pr bhi salo ke liye iseme charge store rhta he.
agr capacitor ko discharge krna hota he to capacitor ke parallel me koi resistor lgaya jata he.
                         formula of capacitance                                                    C = Q/V

                                     and                                                                            C = દA/D

Capacitor ki jo value hoti he use capacitance me mapa jata he.
Capacitor ka 3D view figure ke madhyam ye niche diya gya he
Note - Kisi bhi circuit me lge capacitor ke terminals ko ek sath chhoona nhi chahiye esa krne se itna jor ka shock lg  skta he ki insan ki mot bhi ho skti he.


Use of Capacitor :::

  • Electronics circuit me filter ke roop me
  • Oscillator bnane me
  • Scientific field me
  • Temporary battery ki trh
  • Energy storage
  • Coupling me etc.

 
Types of Capacitor -
Capacitor 3 parkar ke hote he ;;;
1- Value ke adhar par

(a) fixed capacitor --
is ki value fixed hoi he jese - 50uF, 100uF, 470uF, 100nf, 22pf etc.

(b) Variable capacitor --
is capacitor ke capacitance ko ghtaya ya bdhaya jata he, jese- 10 uf - 100uf etc.

2- Pol ke adhar par

(a) polar capacitor
In capacitors me ek terminal positive (+ve) v doosra terminal negative (-ve) hota he, terminal ke adhar par hi isko circuit me +ve ko +ve se v  -ve ko -ve voltage se connect kiya jata he.
Electrolyte capacitor ek polar capacitor hota he.

(b)  Non-Polar capacitor ---
Is parkar ke capacitor me koi fixed pole (dhurv) nhi hota he, islie ise circuit me kisi bhi treeke se connect kr skte he,

3- Construction ke adhar par (size v shape ke adhar pr)
  • Electrolyte capacitor
  • Ceramic capacitor
  • Mica Capacitor
  • Polyester capacitor
  • Film capacitor

kisi bhi capacitor ko construction ke adhar par hm dekh kr phchante he ki yh konsa capacitor he or circuit me unhe unki properties adhar pr connect kiya jata he.
chitr ke madhyam se app capacitor ko ache se pahchan skte ho.
Niche sbhi parkar ke capacitors ka figure diya gya he ⬇️⬇️



electrolyte Capacitor 




In sbhi parkar ke capacitor ki working same hoti he, sbi me do metal ki plates hoti he. Lekin alg-alg parkar ke capacitors me difference inki plates ke beech me rkhe dielectric & construction  ka hota he. In sbhi parkar ke capacitor ka use inki characteristics ke adhar pr hota he


CERAMIC CAPACITOR





Tantulam capacitor
Tantulam electrolyte Capacitor 

POLYESTER CAPACITOR




MICA CAPACITOR
YOU CAN IDENTIFY TO THE CAPACITORS USING FIGURE

Capacitance range of different types of capacitor (Alag - alag caapcitor ka capacitance seema ) - 

1-  Electrolyte              -       1uF - 47000 

2- Ceramic                   -       100 Pf - 10 uF  
3-  Polyester                 -        100 Pf - 10 uF
4-  Mica.                      -        20 Pf - 10 uF

Note -

              1 F      =      1000 mF                    
              1 F      =      1000000 uF               
              1F       =      1000000000 nF        
              1F       =      1000000000000 pF

 Yha  F ka mtlb Fared he. Hmm electronics circuit me maximum micro fared valu ka capacitor use krte he
           YOU CAN IDENTIFY TO THE CAPACITORS USING FIGURE 😃😃

No comments:

Post a Comment