Showing posts with label Multimeter. Show all posts
Showing posts with label Multimeter. Show all posts

Sunday, November 18, 2018

Multimeter

Vah Electronics equipment jisme sbhi electronics unit (jese - Voltage, Current, Resistance, Capacitance, Contunity etc.) measure karne ka gun hota he Multimeter kahlata hai. Multimeter me DC Voltmeter, AC Voltmeter ,DC Ammeter, AC Ammeter, Ohm meter, continuity meter etc. hote he isi liye ise Multimeter khte he i.e.  Multimeter - Multi + Meter - matalb ek se jyada units ki measurements krne wala meter.

Good quality Multimeter  Electronics and Technology
(a) Multimeter

Iss post me Multimeter ke bare Detail me Figures ke madhaym se step by step diya gya he. Isse smjh kar koi bhi bhi multimeter ka practically use kar skta hai.  Please read it with attention. 


Mulimeter ke Parkar ( Types Of Mulimeter)  - 

Multimeter 2 parkar ke hote hai. - 

1 - Analog Multimeter 


2 - Digital Multimeter


Analog Multemeter -


Analog  multimeter
(b) Analog Multimeter 

                               


 Isme kisi bhi value(units) ko ek Suee(needle) ke dvara indicate kiya jata hai. Power Supply ke liye isme 9V ki battery iske andar lgi hoti hai. Analog Multemeter magnetic field(Chumbkeey kshyetr) ki theory par work karta hai. Hme jis kisi Unit ki value ko measure krna hota hai, pointer( Selector) ki help se use select kar liya jata hai.
Jis unit ka measurement krna hota use select krke lead ki help se measurement kiya jata hai.
Iski Analog Display me alg - alg units ke scales bhi alg - alg bni hoti hai.
Analog multimeter ko use krna Digital Multimeter ki tulna me complicated hota hai.


All electronics Components - 




Digital Multimeter-
                                          Isme kisis bhi Value ko show krne ke liye ek Display hoti hai jisme value ko digits me show kiya jata hai. Yah microcontroller based hota hai. Digital multimeter ki accuracy analog multimeter ki tulna mai kafi achhi hoti hai.

Digital multimeter
(c) Digital Multimeter 


Isme ek 360 degree ghoomne vala selector hota hai jiske dvara us unit ko select kiya jata hai jiska measurement krna hota hai. Measuring ke liye do lead Black & Red hoti hai. Black lead ko hmesa Com socket me rkha jata hai or Red wali lead ke liye 2-3 socket hote figure(2) ke according left wale dono socket ka use tbhi kiya jata hai jab current ka measurement krna hota hai kuki left ke do socket current measurement ke liye bne hote hai kuki current measure krne ke liye meter ko series me lgaya jata hai. Iske alawa right socket ka use - Voltage, Resistance, Continuity etc.  measure krne ke liye kiya jata hai.
Power supply dene ke liye isme 9V ki battery lgi hoti hai.
Ise use krna kafi assan hota hai.

Result -

  Multimeter = Voltmeter + Ammeter +Ohm meter.                                                   + Continuity meter


  • Multimeter se Voltage or current AC ho ya DC dono measure kiya ja skta hai. 
  • Digital Multimeter ka use present time me sbse jyada kiya jata hai. 
  • Latest Digital Multimeter market me kafi advanced features me available hai,  inse frequency bhi measure ki ja skti hai. 
  • Latest digital Multimeter me LCR meter bhi available hota hai.

                                 SMT Components - 


Friends agar apko Multimeter se related koi bhi Questions hai ya apko Multimeter use krne me problems aa rhi hai to app hme niche diye hue comment box me apna message kar skte hai . Hmm  apko best suggestion dene ki kosis krege.





                                 Robot क्या होता है ? 



Dear readers if you have any question and suggestions related to my any post or My site (Electronics & Technology) so you can leave message in comment box. I will try to give answer of your questions in short time.





Thank you very much