Wednesday, June 27, 2018

Capacitor As a Battery, Power Supply na hone par charger ki LED long time tak ku glow karti hai?

Is post me hamne btaya hai ki kis tarah Capacitor ek  battery ki tarh kam karta hai. Is post me ek Electrolyte  capacitor se ek LED( light Emitting Diode) ko glow (Jlaya) kiya hai. Par yha short time mai discharge ho jata hai. App step by step is post ko read kake Ghar ya lab mai khud practical kar skte hai.

Capacitor electronics ka esa componet he jisko DC power supply dene par Vah charge ho jata hai(capacitor ki ek plate par positive charge or doosri plate par Negative charge aa jata hai). Or uska charge Long time tak bna rhta hai. Capacitor ki isi properties ke karn vah battery ki tarha work karta hai.


  Needs of components (आवश्यक सामग्री)



  •  Battery 🔋( 9 volt )  
  •  Switch
  •  Electrolyte Capacitor (1000 uF, 25 volt) 
  •  Resistor (470 ohm) 
  •  An LED
  •  Connecting Wires.   

Circuit diagram -
Niche diye gaye circuit ke aadhar par components ko connect kiya jata hai.
Capacitor as a battery
(a) Circuit Diagram 

Working -  

Figure (a) Circuit diagram ke according , Components ko shi treeke se connect kiya jata hai.
Jab Switch S1 ko ON kiya jata hai to battery se Current Capacitor (C) me jati hai or Resistor R1 se hokar LED me jati hai. Tab Capacitor few Seconds me charge ho jata hai or iske bad isme koi current flow nhi hoti hai. Is time current resistor se LED me jati hai or LED glow (ON) rahti hai. Is time LED battery se glow ho rhi hai. 
Jab hm switch off kr dete he to battery se connection open ho jata hai or battery se ab koi current flow nhi hoti hai. 


Yha capacitor ke karan LED OFF nhi hoti hai, kuki capacitor charge hua tha or ab vh LED ko power deta hai. LED tab tk ON rhti hai jab tak ki capacitor discharge nhi ho jata. 
Jab ham switch ON krge to capacitor phir se charge ho jata hai. 


capacitor ek battery ki trah kese kam krta hai
Capacitor as a battery 

Connection krte time dhayan de ki capacitor or LED right Polarity par connect ho i.e. Capacitor ka positive terminal battery ke positive terminal se or Cap.  ka negative terminal battery ke negative terminal se connect ho. Same LED ko bhi right Polarity par lgaye.

Direct connect to the LED with Charged Capacitor -

LED ON using Capacitor 
Iss circut me charged Capacitor ke Positive or Nagative terminals ko LED ke Positive or negative terminals ke sath connect kiya hai. Esa karne par capacitor LED par discharge ho jata hai. Or LED capacitor ke discharge hone tak glow krti hai.

Note - Connection karte time dhayan dena chiyye  ki Capacitor ki legs ko apne nagn hatho se touch na ho, Capacitor ke terminals hmari body ke sath touch hone par capacitor hmari body me discharge ho jayega. Jisse hame bhut tej shock ( current)  lgega. Capacitor ke kisi singal terminal se to current nhi lgega. Agar dono terminal body se touch hote he to shock ka lgna avsay hai. 
Ye shock itna tej ho skta hai ki kisi ki death bhi ho skti hai. 
   
Power supply  na hone par charger ki LED  ku glow karti hai  ?
    
Ye question har kisi ke mind par jaroor ata hoga ki jab electronics device  ON rhti hai to device me Indicator LED ON rhti he. Par jab Power supply band kar di jati hai to LED kafi long time tak ku glow kati hai -???????

Esa isliye hota hai kuki LED ke parallel me 1 capacitor connect rhta hai jo power supply ke hone par charge hota hai. Or power Supply ke na hone par LED ko back-up deta hai. Or LED Glow karti rahti hai. 

Electricity ke fluctuation (ON - OFF) hone par System ke damage hone ka khatra rhta hai, Jis karn Circuits me Capacitor ka use kiya jata hai. 

Dear readers if you have any question and suggestions related to my any post or My site (Electronics & Technology) so you can leave message in comment box. I will try to give answer of your questions in short time.





Thank you very much


1 comment:

  1. I think this is an informative post and it is very useful and knowledgeable. therefore, I would like to thank you for the efforts you have made in writing this article. best laptops for nursing students

    ReplyDelete