Is post me, mai apko Diode ke bare me - Diode ki phchan krna, diode ke parkar, Working of diode (diode ka kary), Diode ka use etc. ke bare me btane ja rha hu. Is post me diode ke bare me is treeke se btaya gya he ki apke sare doubt clear ho jayege. Please read it with attention.
Diode ek 2 terminal ka semiconductor se bna electronics component he. Yah ek active component hota he is ka use Analog electronics v digital electronics dono me kiya jata he. Yh shirf ek dirction me kam krta he. Ise 'D' se denote kiya jata he.
Semiconductor Diode ki khoj 1874 me Ferdinand Braun ne ki.
Construction of Diode -
Diode ko kisi Slicon ke chode chad pr, ek side P-type impurity or doosri side N- type impurity ki Doping krke fabricat (bnaya) kiya jata he. Ya ise P-Type v N- type semiconductor ko aaps me horizontally milane se bnaya jata he, jisse ek PN diode nirmit ho jata he. P side v N side dono se leg bahr nikali jati he jinhe terminal khte he. Figure me diode ka construction diya he.
Construction of Diode |
Types of diode - Diode anek parkar ke hote he. Pr sab ka concept same hota he but working kuchh alag alag hoti he.Niche diode ki list di gyi he - 👇👇
- Rectifier Diode
- Zener Diode
- Tunnel Diode
- Varactor Diode
- Schottky Diode
- Photo Diode
- Light Emitting Diode (LED)
Rectifier Diode |
Schottky Diode |
Zener Diode |
Tunnel Diode |
Light Emitting Diode |
Photo Diode |
Schottky diode same Rectifier diode ki trh dikhta he. Inki phchan inke upper likhe inke part number se ki jati he.
App Upper diye huee Diode ki image ko dekh kr diode ki phchan kr skte he
Symbols of Diode - ⬇️⬇️
Niche diffrent parkar ke diode ke symbols diye he.
Symbols of Diode |
Use of Diode -
- AC to DC converter (Rectifier)
- Voltage regulator
- Logic Gates
- Clipping circuit
- Clamping circuit
- Reverse current protection
- Voltage multiplier circuit
- Voltage spike suppression
- Solar panels etc.
Working (Diode work kese krta he) -
Diode ke do terminal hote, jo terminal P-type se juda hota he use Anode (➕) Or jo terminal N-type se juda hota he use Cathode (➖) khte he. Jab Positive terminal ko battery ke Positive terminal se or Diode ke Negative terminal ko battery ke negative terminal se connect krte he to is position ko Forword bias khte he, Is condition me Holes P- type se N - type me or N-type se electron P- type ki or move krne lgte he jisse Hole aur electron ka PN junction pe recombination Hota Hai, jisse circuit mein current bahine lagti hai.
Diode in forward |
Agr battery🔋 ke terminals ko change kr diode me lgaye to circuit me current nhi bhti he is position ko reverse bias khte he agr hm reverse voltage ko bdhate jate he to ek time esa aata he ki PN junction ka break down ho jata he is Avalanche breckdwon khte he is condition me circut me teji se current bhne lgti he. Revese me voltage bdhane pr diode melt ho jata he.
Diode in Reverse |
Iski working (sirf ek dirction me current ➕➡️ ➖ me bhti he) ko dekh kr hm kh skte he ki diode me shirf ek Dirction me current flow hoti he. Lekin hm diode ke reverse biase ka use bhi circuit me bhut kiya jata he
Diode ke is gun ka use krke ise Electronics ki vibhinn circuit me use kiya jata he.
Note - Diode me black portion hota he use Anode (+ve) v jo white colour ki ptli layer hoti he use Cathode (-ve) khte he.Isi ko dekh kr diode ko PCB ya circuit me mount kiya jata he
Is post me hm diode ka sirf consent clear kr rhe he iski working ka full detail hm doosri post me dege.
Friends agr apko diode se related koi bhi question he to app hmare comment box me message kr skte he. Hm apke Question ka Answere dene ki poori kosis krege
Thanku
Thanku