Showing posts with label Electronics Circuit Or Circuit Design Process. Show all posts
Showing posts with label Electronics Circuit Or Circuit Design Process. Show all posts

Monday, February 4, 2019

Electronics Circuit


Electronic Circuit (विधुतकी परिपथ ) current ka kisi conductor ya semiconductor mai flow karne ke liye ek complete solution hai.  Kisi  special Electronic product ko bnane ke liye, Electronic Circuit ko Electronics  Components ke  alag - alag combination se bnaya
 jat hai.   
      
Electronics Circuit hardware with all components
(1) Electronic Circuit


            Electronic circuit ka nirman Electronics components   ( Jese - Resistor, Capacitor, Inductor, Diode, Transistor, IC, transformer etc.), Voltage source, Current source, PCB, Wire, Track, Conductor, Semiconductor, Firmware etc. ke different - different combination se bnaya jata hai.  

In electronics components ka use karke simple v complicated electronic circuit bnaye jate hai.




Example -            Yha ek bhut hi simple circuit diya gya hai, Is circuit mai  sirf  3 components (battery, Resistor or LED) use kiye hai or kuchh wire use ki hai. Jab ham circuit pcb mai bnate hai to vha wires ki jagah Copper tracks ka use karte hai. 


simple circuit of electronics or electrical
(2) Simple circuit of Electronics or Electrical 


Voltage source -       Yha battery 🔋 ek voltage source ki tarh kam karti hai. Yha circuit ko e.m.f (Electromotive Force ) pardan karta hai. 

Resistor -    Yah Circuit me current ko control karta hai or LED ko desired current pardan krata hai kuki LED ko uske rating se jyada current milne par vah damge ho jati hai. 

LED -     LED ko uske  across mai voltage milne par vah Light emit karti hai. To ham light ki jroort padhne par iska use karte hai. 

Wire or Track -   Wire as a conductor kam kati hai, iski help se components ko ek doosre se connect kiya jata hai. Jise ek complete circuit ban jata hai yah figure (2) mai dukhaya gya hai. Wire ke madhyam se current battery ke +ve  terminal se nikalkar -ve terminal me pahuch jati hai. 




Also read 
          Multimeter (Digital and Analog)



Process of development electronics circuit :

Electronics Industry mai koi electronics product development karne ke lye Circuit design R&D department ke andar aata hai. R&D sbse first process hoti hai jo top level mai atai hai. Electronics circuit ko ek qualified Electronics Engineer bnata hai. 

           Circuit design ke liye Circuit design software ya PCB design software ka use kiya jata hai.
Circuit design ki process ko niche step by step btaya gya hai.   


(1).  Components symbol   -   Ye symbol PCB design software ki librarey mai mil jatae hai or software ki help se hme khud ke symbol ki drawing bn skte hai. Symbol drow ho jane par iski file ko save kar lete hai.


(2).  Circuit Diagram (schematic Diagram) -  

Symbol create ho jane ke bad, un symbols ko jinki hme circuit mai need hai unhe Schematic sheet  mai place kar dete hai.
Circuit diagram of Pulse generator
(3) Circuit Diagram (Schematic)






                   
                      Iske bad components ka unki properties ke according arrengment kiya jata hai. Iske bad software ke tool ki help se components ko apas mai connect kar liya jata hai. Schematic sheet ban jane ke file ko save kar liya jat hai.


            Also read 
                        15 Volt DC to 12V  DC & 5V DC मै कैसे कन्वर्ट करें ?
                                   


 (3). Foot Print -        Yah circuit design ki software mai 3rd process hai. Foot prints components ki actual size hota hai. Inhe components ki dimension ke according bnaya jata hai. 

Foot print design
(4) Foot print

                 

      Maximum foot print hme software ki librarey mai mil jate hai. Jo foot print librarey mai nhi milte une tool ki help se drow ka liya jat hai. SMD components ho ya through hole components ho dono ko unke size ke according unka foot print bna liya jata hai. Iske bad foot print ki file ya sheet ko save kar liya jat hai.


 (4). Layout -          Layout designing, circuit design ki 4th or last process hai. isme schematic ke according components ka arregment kiya jata hai. Ab hme PCB ka size or shape ko draw karna hota hai jiske andar hme pure circuit ka layout bnana hota hai. 

Learn PCB layout designing
(5) PCB Layout
                               Ek achchha PCB designer  kam area mai kafi bde circuit ko bnane ki kosis karta hai. PCB design ke bhut sare rules hote hai, jinhe flow karke ek designer ek beautiful circuit bnata hai. Ab iss file ko bhi save kar liya jat hai. 




      3D View of PCB -     Figure (6) mai PCB ka 3D view diya gya hai, hmari final PCB figure(6) ke sman bnti hai, Iss circuit mai sare components SMD ke mount kiye gye hai.

3D view of complete PCB
(6) 3D View of PCB



Sari files ko save karte time  un sbhi files ko same  nam se system mai save kiya jata hai. Fir uski Gerber file bna li jati hai. Yha pe PCB designer ka kam khatm ho jat hai.


                         
Upper di hui sari process ko follow karke ek complete electronics circuit  ka design kiya jata hai. In sari process ko complete karne ke liye vhut sare tools ki bhi kroot padhti hai sath hi companies ko Engineers and kusal employers ki jroort padhti hai.


Also read 
             Identification of Electronic Components 

          What is Electronics  

          Electronics Companies in India 
          
          






Dear readers if you have any question and suggestions related to my any post or My site (Electronics & Technology)  so you can leave message in comment box. I will try to give answer of your questions in short time.





Thank you very much