Measurements instruments (मापन यंत्र ) - Technology, Engineering or science ke liye ek important role nibhate hai. Is article mai important measurement instruments ya meter ke bare simple way mai smjhaya gya hai or unka shi use bhi btaya gya hai.
(1) Measuring instruments |
Yha un important instruments ke bare mai diya gya hai jo exam mai bar- bar pooche jate hai.
Measurements instruments analog or digital dono types ke hote hai. Analog instruments mai measure ki jane wali unit ko ek scale mai सुई ke dvara indicate ki jati hai. Jabki.
Digital instruments mai measure ki jane wale unit ko kisi Display(LCD, LED) mai Digit (1 2 3....,. A B C D............ etc.) ke dvara show kiya jata hai.
Please read it with attention
Voltmeter - Iska use voltage measure karne ke liye kiya jata hai. AC volt and DC volt dono ke liye alag - alag voltmeter hote hai. Yah analog v digital dono parkar ke hote hai.
Ammeter - Iska use current measure karne ke liye kiya jat hai. AC current and DC current dono ke liye alag - alag voltmeter hote hai. Yah analog v digital dono parkar ke hote hai.
Multimeter - Multimeter ek esa meter hai iske dvara multiple value ko measure kiya jata hai. Iske dvara Voltage, current, resistance, capacitance, cuntintinuty etc. measure kiya jata hai. Isme ek display mai multiple unit ko measure kiya ja saka hai.
CRO - Ise Cathode Ray Oscilloscope kahte hai. Iske dvara kisi wave ka Amplitude, RMS, Frequence, Time period, Phase etc. ko measure kiya jata hai. Yah analog type hota hai.
DSO - Ise Digital Storage Oscilloscope kahte hai. Iske dvara kisi wave ya signal ka Amplitude, RMS, Frequence, Time period, Phase etc. ko measure kiya jata hai. Yah digital hota hai. Isme data ko store bhi kiya ja skta hai or DSO ko computer se bhi connect kiya ja skta hai.
Energy meter - Energy meter hmare gharo mai lga hota hai. Yah per hour mai consume hone wali unit ko dikhata hai hai. ie ye Energy ko calculate karta hai. Light ka bill iss reading ke according diya jata hai.
also read
Most important General science and Technical question-answer
Vernier Caliper - Vernier ka use kisis vastu ki Lengh, Width, height ya thickness etc. measurements ke liye kiya jata hai. Iska least count 0.01 mm hota hai matlab vernier ke dvara Millimeter (mm) ke 10th hisse ko bhi measurement kar skta hai. Ye analog v digital dono mai availabe hot hai.
Micrometer or Micro gauge - Iska ka use kisis vastu ki Lengh, Width, height ya thickness etc. measurements ke liye kiya jata hai. Iska least count 0.001 mm hota hai matlab Mico gauge ke dvara Millimeter (mm) ke 100th hisse ko bhi measurement kar skta hai. Ye analog v digital dono mai availabe hot hai. Yah mechanical enginering ke liye most important tool hai.
Altimeter - Is instrument ka use sky mai udte hue vimano (Aeroplane) ki height ko measure karne ke liye kiya jata hai.
Barometer - Is instrument ka use air pressure (वायु दाब ) ko measure karne ke liye kiya jata hai.
Compass - Compass ka use Direction (दिशा ) ka pta lgane ke liye kiya jata hai. Isme ek suee hoti hai jo hmesa North- South mai rhti hai. Iski help se hmm se hmm charo direction ka pta lgaya jata hai.
Dynamometer - Iska use torque (आघूर्ण ) measurements ke liye kiya jata hai. Torque ek force hota hai jo kisi vastu ko gol ghuma deta hai.
Galvanometer - Iss meter ka use karke kisi electric circuit mai current ko sense kiya jata hai. Matlab iss meter ke dvara ye pta lgaya jata hai ki circuit mai current hai ya nhi.
SWR Meter - SWR (Standing Wave Ratio) ko Reflectometer bhi kahte hai. Iska use transmission line mai standing wave ratio ko measure karne ke liye jat ahai
PH meter - Iss meter ka use kisi liquid solution mai Hydrogen-ion activity {acidity (अम्ल ) or alkalinity (क्षार )} ka measurement kiya jata hai.
Thermometer - Iss meter ka use karke Temperature (ताप ) ka measurement kiya jata hai.
Fathometer - Iss meter ke dvara Pani ki gahrai ka measurement kiya jata hai. Gahrai measure karne ke liye isme ultra sonic wave ka use kiya jata hai.
Frequency Meter - Iska use frequency (आवर्ति ) ke measurement mai kiya jata hai. Frequency ko Hertz mai measure kiya jata hai.
Hygrometer - Iss meter ke dvara air ki humidity (नमी ) ko measure kiya jata hai.
Odometer - Yah meter Vehicle (Car, Bike, Bus) etc. mai laga hota hai. Yah meter ye btata hai ki vehicle ne kitna distance travel kiya hai.
Glucometer - Iss meter ke use se Blood mai mojood Glucose ke concentration ko measure (मापा ) kiya jata hai.
Pressure Gauge - Iss ke dvara kisi surface mai Liquid ya Gas ke dvara lgaye gye force (Pressure) ko measure kiya jata hai.
Tachometer - Iss meter ke use se kisi saft ke rotation ko measure kiay jat hai.
Ohm Meter - Ohm meter ke dvsara resistance ka measurements kiya jata hai. Ye analog v digital dono mai available hota hai. But ajkal iska kam use kiya jata hai. Ajakal multimeter ka use sbse jyada kiya jata hai.
Also read
Identification of Electronic Components
What is Electronics
Electronics Companies in India
Dear readers if you have any question and suggestions related to my any post or My site (Electronics & Technology) so you can leave message in comment box. I will try to give answer of your questions in short time.
Thank you very much