Is post mai Sensor (सेंसर ) ke bare mai simple way mai detail mai smjhaya gya hai. Jese Sensors kya hote hai ?, Sensors kese kam krte hai, Sensor ka use kha kiya jata hai, Different types of sensor etc.
(1) Sensor |
Friends app jante hi honge modern technologies mai sensor ka use kafi ho rha. Ajakal har smart gadget or machine mai sensor ka use kiya jata hai. world mai hjaro types ke sensor use kiye ja rhe hai. Alag - alag kam ke liye alag - alag sensor use kiye jate hai.
Definition of Sensor:
Sensor ek esi devices hai jo physical parameter ko detect krta hai or usko ek electric signal ya optical signal mai convert krta hai.
(Sensor is a device that is frequently used to detect physical parameter and respond to electrical signal and optical signal).
Sensor works as a creature ( प्राणियों ke body parts or sensor ke beech smaanta) -
Sensors hmare body parts ki trah hi work krta hai.For example - Eyes (आँख ) : Jab hmm kisis vastu ko dekhte hai to hmari eyes us vastu ki physical size, shape, colour etc. ko detect kar lete hai or ek image capture kar lete hai. Iske bad eyes us image ka poora data Mind ko transfer kar deti hai. Or image ka sara data mind mai store ho jata hai.
Yha mind processor ka ka kam krta hai jiski apni memory hoti hai. Iss parkar us vastu ka sara data memory mai save ho jata hai. Yha par eyes sensor ki trah kam krti hai jo ki natural hai.
Artificial kahu to camera ek sensor hai jo eyes ka kam krta hai.
Jab hamari next time eyes us vastu ko detect krti hai to hmm us vastu ya insan ko phchan jate hai.
Ab app khud hi soch skte ho Jab ham kisi Insan se phli bar sirf 1 minute ke liye milte hai. Or next time jab hmm use dekhte hai to hmm ushe kese identify karte hai.
also read
How to save smart phone from heating in हिन्दी
Classification of main Sensors -
Temperature sensor - Yah heat ko sense krta hai.Pressure sensor - Yah force ko sense krta hai
Humidity sensor - Yah hva mai water ke chhote - chhote molecules ko sense krta hai
Optical sensor - Yah light ko detect krta hai jese Infrared
Displacement sensor - Yah kisi vastu ki position mai aane wale changes ko sense krta hai.
Gas sensor - Ye sensor air mai available gases ko detect krte hai jese CO2 sensor
Motion sensor - Ye sensor moving vastu ki speed ko sense krta hai.
Chemical sensor - Ye sensor different- different types ke chemical ke molecules ko sense krta hai.
Sound sensor - Ye sensor alag- alag frequency ki sound signal to detect krta hai.
Fluid velocity sensor - Ye sensor kisi pipe se flow hone wale liquid ki speed ko sense krta hai.
Image sensor - Yah sensor image ya picture ko capture krta hai jese camera
also read Embedded system Communication protocol in hind
Image of very popular Sensors :
(4) All sensor |
Working of Sensors -
Sensor ke 2 part hote phla Input or doosra Output. Jab sensor ke input mai koi physical quantities milti hai to sensor use detect krke ek electric signal mai convert kr deta hai. Ye signal sensor ke output se liya jata hai.(2) Working of sensor |
Koi sensor output mai ya to Analog signal dete hai ya koi Digital signal . Ajakal jyadatr digital ka use kiya jata hai. Phir is signal ko microcontroller ko dekar uska calibration hota hai or result ko kisis display ya meter mai dekha ja skta hai.
For example -
Digital Thermometer --
Ek healthy insan ka body temperature 98 degree fahrenheit (or 36 degree celsius) hota hai to jab kisi ko fever hota hai to uska body temperature increase ho jata hai. Isliye doctor us insan ke mouth mai Thermometer ko dalta hai. 1 minute ke andar thermometer body ka temperature display mai show kr deta hai.
Thermometer ki working:
Iske anadar ek chhota sa temperature sensor laga hota hai. Jo body ke temperature ko sense krta hai (Temperature ki vjah se sensor ke anadar resistance mai changes aate jisse data bhi change ho jata hai. Or iss data ko calibrate karke kisi display mai show kiya jata hai.)
(3) Sensor in attendance machine |
Theek isi parkar other sensors ki working hoti hai.
Friend agar apke mind mai koi bhi question aata hai to comment jroor kre.
Also read
First Microprocessor of India
Electronics क्या है ?
Radiation क्या है ?
PIR sensor
Dear readers if you have any question and suggestions related to my any post or My site (Electronics & Technology) so you can leave message in comment box. I will try to give answer of your questions in short time.
Please share my post link
Radiation क्या है ?
PIR sensor
Please share my post link
Thank you very much